ENGLISH ------------- ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ ------------------------ |
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
Ghamzada Nahi
Hota Ishara Nahi Hota
Ghamzada Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota
Ankh Un Se Jo Milti Hai To Kya Kya Nahi Hota
Jalwa Na Ho Ma,Nee Ka To Soorat Ka Asar Kya
Bulbul Gul – E- Tasweer Ka Shaida Nahi Hota
Allah Bachay Marz –E- Ishq Se Mujh Ko
Suntay Hain Ke Yeh Aarza Acha Nahi Hota
Tash Beh Tere Chehre Ko Kya Doon Gul E Tar Se
Hota Hai Shugufta, Magar Itna Nahi Hota
Hum Aah Bhi Kartay Hain To Ho Jatay Hain Badnam
Who Qatal Bhi Kartay Hain To Charcha Nahi Hota
Poet : Akbar Allahabadi
Na
Udaa Yuun Thokaron Se
Meri Khaak-E-Kabr Zaalim
Yahi Ek Rah Gai Hai
Meri Pyaar Ki Nishaani
Faasale Aise Bhi Honge
Ye Kabhi Sochaa Na Tha
Saamane Baithaa Tha Mere
Aur Woh Meraa Na Tha
Woh Ke Khushabuu Ki Tarah
Failaa Tha Mere Chaarasuu
Main Use Mahasuus Kar Sakataa Tha
Chhuu Sakataa Na Tha
Raat Bhar Pichhali Hi Aahat
Kaan Mein Aati Rahi
Jhaank Kar Dekhaa Gali Mein
Koi Bhi Aaya Na Tha
Yaad Karake Aur Bhi
Takalif Hoti Thi Adiim
Bhuul Jaane Ke Sivaa
Ab Koi Bhi Chaaraa Na Tha
Dukh Dard Kay
Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna
Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna
Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna
Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna
Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na
Karna.
Woh Samnee Aayee To Nazroon Ko
Jhukaa Lon Ga
Dekhon Ga Nahee Phir Bhi Tasveer Bana Loon Ga
Aana Hai To Aajao Ruswayee Nahee Ho Giii
Dekhee Ga Nahee Koi Palkon Men Chupaa Lon Ga
Jo Hum Per Guzarni Hai Aik Baar Guzer Jayeee
Her Ghum Ki Tarha Tugh Ko Seene Se Laga Loon Ga
Veeran Ger Dil Ho Aankhon Men Andheera Ho
Yaadon Ke Dyiee Apni Palkon Men Saja Lon Ga
Manzoor Ger Ho Gi Ruswai Teri Mugh Ko
Men Beth Sahil Se Tofan Uthaa Lon Ga
Naraaz Ger Woh Hain Meree Nasheman Se
Men Nasheman Ke Tinkoon Ko Hata Doon Ga
Kyoun Mugh Se Khafaa Ho Ker Woh Door Gayee
Bahoon Men Woh Aajayeen Men Un Ko Mana Loon
Ga
Maslay Hoy Pholon Say Aada
Mangtay Rehna
Viraan Drichon Say Sada Mangtay Rehna
Ye Koi Dukh Hay Kay Kufranay Mohabat?
Apnay Liay Her Bar Saza Mangtay Rehna
Aankh Drichon Pay Ogay Nergasi Chehray
Un Kay Liay Lafzon Ki Rida Mangtay Rehna
Khushal Rahien Younhi Sabhi Dost Tumharay
Un Kay Liay Aachi Duaa Mangtay Rehna
Hath Uthtay Rahay Berson Ju Teri Duaa Ko
Un Kay Liay Sajid Hina Mangtay Rehna .
Mein Khayal Hoon
Kisi Aur Ka
Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai
Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
Mejhe Maangta Koi Aur Hai
Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
Keh Darmayan Hai Zindagi
Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
Mujhe Jaanta Koi Aur Hai
Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
Meri Daastan Koi Aur Thi
Mera Waaqaya Koi Aur Hai
Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
Dekhna Unhen Ghaur Sey
Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai
Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
Ko Saleem Subh Na Mil Saki
To Is Key Mani To Yeh Hue
Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai.
Zindagi Mein To
Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga
Tu Mila Hai To Ehsaas Hua Hai Mujhko
Ye Meri Umr Mohabbat Ke Liye Thodi Hai
Ik Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai Jispar
Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi Hai
Tujhpe Ho Jaaoonga Qurbaan Tujhe Chaoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga
Apne Jazbaat Mein Nagmaat Rachaane Ke Liye
Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe
Main Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon
Maine Kimsat Ki Lakiron Se Churaaya Hai Tujhe
Pyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe Chahoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe
Chahoonga.
Mujhe Tum Nazar
Se Gira To Rahe Ho
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge
Na Jaane Mujhe Kyoon Yakin Ho Chala Hai
Mere Pyaar Ko Tum Mitaa Na Sakoge
Meri Yaad Hogi Jidhar Jaaoge Tum
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Tadapta Mujhe Har Taraf Paaoge Tum
Shama Jo Jalaayi Hai Meri Wafa Ne
Bujhaana Bhi Chaaho Bujha Na Sakoge
Kabhi Naam Baaton Mein Aaya Jo Mera
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
Nigahon Mein Chaayega Gham Ka Andhera
Kisi Ne Jo Poocha Sabab-A-Suboon Ka
Bataana Bhi Chaaho Bata Na Sakoge.
HINDI --------- ---------------------- ---------------------- ----------------------
---------------------- ----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
----------------------
---------------------- ---------------------- ---------------------- |
Copyright © sandybook.in
All Rights Reserved.